Baadal Hai Aur Phul Khile Hain Sabhi Taraf

baadal hai aur phul khile hain sabhi taraf

kahta hai dil ki aaj nikal ja kisi taraf

tewar bahut KHarab the sunte hain kal tere

achchha hua ki hum ne na dekha teri taraf

jab bhi mile hum un se unhon ne yahi kaha

bas aaj aane wale the hum aap ki taraf

ai dil ye dhaDkanen teri mamul ki nahin

lagta hai aa raha hai wo fitna isi taraf

KHush tha ki chaar nekiyan hain jama us ke pas

nikle gunah bisiyon ulTa meri taraf

'basir' adu se hum to yunhi bad-guman rahe

tha un ka iltifat kisi aur hi taraf

(1370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baadal Hai Aur Phul Khile Hain Sabhi Taraf In English By Famous Poet Basir Sultan Kazmi. Baadal Hai Aur Phul Khile Hain Sabhi Taraf is written by Basir Sultan Kazmi. Read famous Poem Baadal Hai Aur Phul Khile Hain Sabhi Taraf for youth and Student by Basir Sultan Kazmi. Free Download Baadal Hai Aur Phul Khile Hain Sabhi Taraf in PDF.