Hayat-o-maut Ka Ek Silsila Hai

hayat-o-maut ka ek silsila hai

mohabbat intiha tak ibtida hai

main kya jaanun ki bab-e-tauba kya hai

abhi to mai-kade ka dar khula hai

zara phir dil pe nazren Dal dije

charagh-e-arzu KHamosh sa hai

ata kar di tumhaari aarzu ne

wo ek duniya jo duniya se juda hai

hasin hon lakh duniya ke manazir

wo kya dekhe jo tum ko dekhta hai

nazar ke sath nazzara bhi gum hai

dil-e-muztar ye kis ka samna hai

mere dil ko na rakh be-rang saqi

ki har saghar gulabi ho raha hai

na dozaKH hai na jannat hai to 'basit'

mere aamal-e-gham ka kya sila hai

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hayat-o-maut Ka Ek Silsila Hai In English By Famous Poet Basit Bhopali. Hayat-o-maut Ka Ek Silsila Hai is written by Basit Bhopali. Read famous Poem Hayat-o-maut Ka Ek Silsila Hai for youth and Student by Basit Bhopali. Free Download Hayat-o-maut Ka Ek Silsila Hai in PDF.