Shauq Ko Be-adab Kiya Ishq Ko Hausla Diya

shauq ko be-adab kiya ishq ko hausla diya

uzr-e-nigah-e-dost ne jurm-e-nazar sikha diya

aah wo bad-nasib aah nala-e-andalib-e-ah

mera fasana-e-alam jaise mujhe suna diya

TuT saka na pasti-e-fikr-o-nazar ka silsila

dam na qafas ko hum ne KHud dam-o-qafas bana diya

mere mazaq-e-did ki sharm usi ke hath hai

jis ne shua-e-husn ko husn-e-nazar bana diya

naz-o-niyaz aashna taghaful-e-e'tibar

hae kis ehtimam se tum ne mujhe miTa diya

KHub ilaj kar diya apne mariz-e-ishq ka

dard miTane aae the dard diya miTa diya

hae wo husn-o-ishq jab 'basit'-e-be-qarar ko

barq-e-nigah-e-dost ne phunk diya jala diya

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq Ko Be-adab Kiya Ishq Ko Hausla Diya In English By Famous Poet Basit Bhopali. Shauq Ko Be-adab Kiya Ishq Ko Hausla Diya is written by Basit Bhopali. Read famous Poem Shauq Ko Be-adab Kiya Ishq Ko Hausla Diya for youth and Student by Basit Bhopali. Free Download Shauq Ko Be-adab Kiya Ishq Ko Hausla Diya in PDF.