Charagh-e-husn Hai Raushan Kisi Ka

charagh-e-husn hai raushan kisi ka

hamara KHun hai roghan kisi ka

abhi nadan hain mahshar ke fitne

rahen thame hue daman kisi ka

dil aaya hai qayamat hai mera dil

uThe tazim de jauban kisi ka

ye mahshar aur ye mahshar ke fitne

kisi ki shoKHiyan bachpan kisi ka

adaen ta-abad bikhri paDi hain

azal mein phaT paDa jauban kisi ka

kiya talwar ne ghunghaT mere baad

na munh dekhegi ye dulhan kisi ka

hamari KHak mahshar tak uDi hai

na hath aaya magar daman kisi ka

bajae gul meri turbat pe hon KHar

ki uljhe gosha-e-daman kisi ka

'bayan' barq-e-bala chitwan kisi ki

dil-e-pur-arzu KHirman kisi ka

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-husn Hai Raushan Kisi Ka In English By Famous Poet Bayan Meeruti. Charagh-e-husn Hai Raushan Kisi Ka is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem Charagh-e-husn Hai Raushan Kisi Ka for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download Charagh-e-husn Hai Raushan Kisi Ka in PDF.