Khula Hai Jalwa-e-pinhan Se Az-bas Chaak Wahshat Ka

khula hai jalwa-e-pinhan se az-bas chaak wahshat ka

main Darta hun kahin parda na phaT jae haqiqat ka

kahan le jaega yarab samand-e-tund wahshat ka

ki pichhe rah gaya koson doraha nar-o-jannat ka

ghubar-e-rang-e-parran hai pharera teri rayat ka

shikast-e-qalb-e-ashiq ghalghala hai teri nusrat ka

kiya hai qasd kis ke kangur-e-aiwan-e-rifat ka

ki thama hai tere nale ne paya arsh-e-himmat ka

jhuka di qudsiyon ne be-takalluf gardan-e-taat

zahe-rutba kaf-e-KHak-e-dar-e-wala-e-daulat ka

khule kis tarah parda parda-e-gosh-e-tahayyur par

ki be-saut-o-sada hai parda saz-e-bazm-e-wahdat ka

sanam taq-e-haram se dafatan niche utar aae

adab tha bas ki wajib dost ke qasid ke talat ka

hijab-e-tan kasad-e-raunaq-e-kala-e-yusuf hai

taraddud kya hai zindan-KHana-e-hijran se hijrat ka

salatin ko nahin pata mizaj un ke faqiron ka

ki anqa-e-falak-parwaz hai qaf-e-qanaat ka

lab-e-asnam hain qand-e-suKHan se sar-ba-mohr ab tak

KHamoshi se maza puchhe koi teri fasahat ka

maze milte hain kya kya ishq ke lazzat-shanason ko

hamein daman-e-zaKHm-e-dil ewaz hai KHwan-e-neamat ka

tere hairat-kade mein farsh hai aaina kya o but

ki KHasan-e-dar-e-daulat ko hi khaTka hai zillat ka

nigah be-his KHat-e-saghar ki surat hai ki saqi ne

diya hai mardum-e-chashm-e-jahan ko jam hairat ka

talash-e-jalwa-e-mani mein Takraya kiye sajde

na TuTa dast-e-KHushk-e-zohd se but-KHana surat ka

qayamat-e-barhami Dali to hijran ki ghaDi guzri

zamin hai gard shisha aasman shisha hai saat ka

buton par lat mari mehr-o-mah se pher lin aankhen

'bayan' allah re ghamza mere husn-e-aqidat ka

(980) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khula Hai Jalwa-e-pinhan Se Az-bas Chaak Wahshat Ka In English By Famous Poet Bayan Meeruti. Khula Hai Jalwa-e-pinhan Se Az-bas Chaak Wahshat Ka is written by Bayan Meeruti. Read famous Poem Khula Hai Jalwa-e-pinhan Se Az-bas Chaak Wahshat Ka for youth and Student by Bayan Meeruti. Free Download Khula Hai Jalwa-e-pinhan Se Az-bas Chaak Wahshat Ka in PDF.