Fasl-e-bahaar Jaane Ye Kya Gul Katar Gai

fasl-e-bahaar jaane ye kya gul katar gai

saghar gulon ka KHun-e-anadil se bhar gai

gulzar-e-hast-e-bud mein aarif ki aagahi

auraq-e-gul pe surat-e-shabnam bikhar gai

hasil huzur-e-husn ki sar-mastiyan kahan

tahzib-e-asr lauT ke jaane kidhar gai

danishwaro wo ramz samajhne ki chiz thi

nazar-e-wafa-shiar KHata jo bhi kar gai

KHush-baKHt gharq bahr-e-takalluf mein ho gae

TuTe hue nasib ki kashti guzar gai

gulshan ke dida-war hi tah-e-dam aa gae

jadu jaga ke KHub nasim-e-sahar gai

shaistagi ne KHair ka putla bana diya

barq-e-fana bhi husn-e-ada pe Thahar gai

almas-o-lal bik gae mutlaq KHazaf ke mol

ab aabru-e-hikmat-e-sahab-hunar gai

saqi ko KHas masnad-e-gul par jo aai nind

sar-masti-e-sharab-e-gham-e-mo'atabar gai

itni thi ek nafas ke tabassum ke dastan

nazuk kali thi phul bani aur bikhar gai

yun to suKHan ki surat-e-mani thi dil-pazir

KHun-e-jigar se aur haqiqat nikhar gai

tai ho sake KHirad se na hasti ke marhale

nakaamiyon ki aah meri kaam kar gai

'bebak' be-kasi ke hai juz kaun dast-gir!

mauj-e-nafas hayat ki jaane kidhar gai

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasl-e-bahaar Jaane Ye Kya Gul Katar Gai In English By Famous Poet Bebak Bhojpuri. Fasl-e-bahaar Jaane Ye Kya Gul Katar Gai is written by Bebak Bhojpuri. Read famous Poem Fasl-e-bahaar Jaane Ye Kya Gul Katar Gai for youth and Student by Bebak Bhojpuri. Free Download Fasl-e-bahaar Jaane Ye Kya Gul Katar Gai in PDF.