Haq Pasandon Se Jahan Bar-sar-e-paikar Sahi

haq pasandon se jahan bar-sar-e-paikar sahi

kuchh dinon aur bhi ruswa sar-e-bazar sahi

KHun-e-masum se tamir hai bustan-e-wajud

ishrat-e-dahr se mahrum wafadar sahi

jehd-o-isar se raushan hai wafa ki qindil

dil-girafta haram-e-pak ka meamar sahi

mera iman hai elan-e-haqiqat karna

lakh mansur ki KHatir rasan-o-dar sahi

azm-e-rasiKH hai to har gam hai manzil ba-kanar

wahshat-asar siwa darra-e-dushwar sahi

aabla-pa se bujhate hi chalo tishna-labi

mumtahin jada-e-auqat ka har KHar sahi

baDh ke lena hai hamein jurat-e-isar se kaam

hail-e-rah-e-junud-e-gham-o-azar sahi

Dal do bahr-e-hawadis mein KHuda par kashti

na-KHuda dam-e-tawahhum mein giraftar sahi

rahbar jazba-e-sadiq dil-e-masum ka hai

har nafas zist ka ek manzil-e-dushwar sahi

sarfaroshan-e-watan aaj watan ki KHatir

ek gulzar ho tamir sar-e-dar sahi

husn-e-aKHlaq se 'bebak' raho sina-sipar

dast-e-aghyar mein shamshir-e-sharar-bar sahi

(1543) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haq Pasandon Se Jahan Bar-sar-e-paikar Sahi In English By Famous Poet Bebak Bhojpuri. Haq Pasandon Se Jahan Bar-sar-e-paikar Sahi is written by Bebak Bhojpuri. Read famous Poem Haq Pasandon Se Jahan Bar-sar-e-paikar Sahi for youth and Student by Bebak Bhojpuri. Free Download Haq Pasandon Se Jahan Bar-sar-e-paikar Sahi in PDF.