Trahdar Kahan Se Laun

jhuT ki garmi-e-bazar kahan se laun

raqs-e-be-mani ki jhankar kahan se laun

DhunD ke hila-e-takzib barae-insaf

be-muhaba sar-e-darbar kahan se laun

be-KHabar ishq se hain aaj riya-kar shuyuKH

jazb-e-mansur sar-e-dar kahan se laun

bech kar chadar-e-zahra ko sajata firdaus

reshmi makr ki dastar kahan se laun

maut ki god mein hai aarif-o-dana ka wajud

dil-ruba fikr-e-sahar-kar kahan se laun

mein wo fankar hun iKHlas hai jis ka shahkar

makr-o-tarwiz ki guftar kahan se laun

KHanqahon mein bhi raij hai hawas ki tadris

ba-KHuda shaiKH-e-nigah-dar kahan se laun

maktab-e-nau ka moallim hai farangi baqqal

buzar-o-KHalid-o-karrar kahan se laun

ruh-e-tauhid ki qatil hai siyasi talim

sar-faroshan-e-wafadar kahan se laun

KHub waqif hun hadis-e-mai-o-mina se magar

aalam-e-hashr mein dildar kahan se laun

saz-e-fitrat pe ghazal-KHwan hai shuur-e-tanqid

kaghzi kakul-o-ruKHsar kahan se laun

shola-zan daman-e-giti hai to mazmun koi

jinsiyat-baKHsh trahdar kahan se laun

dil ka paimana hai zahrab-e-alam se labrez

bulbul-e-zamzama-asar kahan se laun

tazkire hain qad-o-gesu ke bahar-taur aziz

muflisi mein dil-e-gulbar kahan se laun

tishnagi sahab-e-nama ki bujhane walo

aabru-baKHta shahkar kahan se laun

arsa-e-dahr ka har zarra hai aatish-ba-kanar

ramish-o-rang ke ashaar kahan se laun

jannati hone ki mana ki sanad bikti hai

ganj-e-qarun ka ambar kahan se laun

zeb-e-tan waqt ka pairahan-e-shoala hai abhi

kaif-angez main afkar kahan se laun

KHair-agah mera fikr hai masruf-e-amal

bahs-o-takrar ki talwar kahan se laun

jaan paD sakti hai 'bebak' tan-e-murda mein

mard-e-'faruq' sa kirdar kahan se laun

(1247) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Trahdar Kahan Se Laun In English By Famous Poet Bebak Bhojpuri. Trahdar Kahan Se Laun is written by Bebak Bhojpuri. Read famous Poem Trahdar Kahan Se Laun for youth and Student by Bebak Bhojpuri. Free Download Trahdar Kahan Se Laun in PDF.