Tum Yaad Mujhe Aa Jate Ho

tum yaad mujhe aa jate ho

jab sehn-e-chaman mein kaliyan khil kar phul ki surat hoti hain

aur apni mahak se har dil mein ek tuKHm-e-latafat boti hain

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

jab barkha ki rut aati hai jab kali ghaTaen uThti hain

jis waqt ki rindon ke dil se hu-haq ki sadaen uThti hain

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

jab meinh ki phuwaren paDti hain jab ThanDi hawaen aati hain

jab sehn-e-chaman se ghabra kar pi pi ki sadaen aati hain

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

jab chaudhwin shab ka chand nikal kar dahr munawwar karta hai

jab koi mohabbat ka mara kuchh ThanDi sansen bharta hai

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

jab raat ki zulmat ghaTti hai jab subh ka nur ubharta hai

jab koyal kuku karti hai jab panchhi pi pi karta hai

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

jab koi kisi ka hath pakaD kar sair ko bahar jata hai

jab koi nigah-e-shauq ke aage rah rah kar ghabraata hai

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

jab chaar nigahen kar ke koi mahw-e-tabassum hota hai

jab koi mohabbat ka mara us kaif mein paD kar khota hai

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

aflak pe jab ye lakhon tare jagmag jagmag karti hain

jab tare gin gin kar dil wale ThanDi sansen bharte hain

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

jab raat ka baDhta hai sannaTa chain se duniya soti hai

tab aankh meri khul jati hai aur dil ki rag rag roti hai

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

jab rota hai bahzad-e-'hazin' wo shair wo diwana sa

wo dil wala wo saudai wo duniya se begana sa

tum yaad mujhe aa jate ho

tum yaad mujhe aa jate ho

(1273) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Yaad Mujhe Aa Jate Ho In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. Tum Yaad Mujhe Aa Jate Ho is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem Tum Yaad Mujhe Aa Jate Ho for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download Tum Yaad Mujhe Aa Jate Ho in PDF.