Bhitar Basne Wala KHud Bahar Ki Sair Kare Maula KHair Kare

bhitar basne wala KHud bahar ki sair kare maula KHair kare

ek murat ko chahe phir kabe ko dair kare maula KHair kare

ishq-wishiq ye chahat-wahat man ka bhulawa phir man bhi apna kya

yar ye kaisa rishta jo apnon ko ghair kare maula KHair kare

ret ka tuda aandhi ki faujon par tir chalae Tahni peD chabae

chhoTi machhli dariya mein ghaDiyal se bair kare maula KHair kare

soch ki kafir har murat pe jaan chhiDakta hai bin panw thirakta hai

man ka musalman ab qible ki jaanib pair kare maula KHair kare

fikr ki chaak pe maTi ki tu shakl badalta hai ya KHud hi Dhalta hai

'bekal' be-par lafzon ki taKHil ko tair kare maula KHair kare

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhitar Basne Wala KHud Bahar Ki Sair Kare Maula KHair Kare In English By Famous Poet Bekal Utsahi. Bhitar Basne Wala KHud Bahar Ki Sair Kare Maula KHair Kare is written by Bekal Utsahi. Read famous Poem Bhitar Basne Wala KHud Bahar Ki Sair Kare Maula KHair Kare for youth and Student by Bekal Utsahi. Free Download Bhitar Basne Wala KHud Bahar Ki Sair Kare Maula KHair Kare in PDF.