Payam Le Ke Jo Paigham-bar Rawana Hua
payam le ke jo paigham-bar rawana hua
hasad ko hila mila ashk ko bahana hua
wo meri aah jo sharminda-e-asar na hui
wo mera dard jo minnat-kash-e-dawa na hua
KHayal mein na rahin suraten azizon ki
watan se chhuTe hue is qadar zamana hua
wo dagh jis ko jagah dil mein di thi jite-ji
charagh bhi to hamare mazar ka na hua
pari-washon ko sunate hain qissa-KHwan 'beKHud'
hamara haal na Thahra koi fasana hua
(788) Peoples Rate This