Sath Sath Ahl-e-tamanna Ka Wo Muztar Jaana

sath sath ahl-e-tamanna ka wo muztar jaana

allah allah tera bazm se uTh kar jaana

rahbari kar ke meri KHizr bhi chakkar mein paDe

ab unhen jalwa-gah-e-yar mein akasr jaana

dagh-e-kam-hauslagi dil ko gawara na hua

warna kuchh hijr mein dushwar na tha mar jaana

sadgi se ye guman hai ki bas ab rahm kiya

mutmain hun ki mujhe aap ne muztar jaana

nashshe mein bhi tere 'beKHud' ki talli na gai

baada-e-hosh-ruba ko mai-e-kausar jaana

(746) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sath Sath Ahl-e-tamanna Ka Wo Muztar Jaana In English By Famous Poet Bekhud Badayuni. Sath Sath Ahl-e-tamanna Ka Wo Muztar Jaana is written by Bekhud Badayuni. Read famous Poem Sath Sath Ahl-e-tamanna Ka Wo Muztar Jaana for youth and Student by Bekhud Badayuni. Free Download Sath Sath Ahl-e-tamanna Ka Wo Muztar Jaana in PDF.