Betab Rahen Hijr Mein Kuchh Dil To Nahin Hum

betab rahen hijr mein kuchh dil to nahin hum

taDpen jo tujhe dekh ke bismil to nahin hum

hain yaad bahut makr o fareb aise hamein bhi

muTThi mein jo aa jaen teri dil to nahin hum

ab aap koi kaam sikha dijiye hum ko

malum hua ishq ke qabil to nahin hum

kahne ko wafadar tumhein lakh mein kah den

dil se magar is baat ke qail to nahin hum

kyun KHizr ke pairaw hon teri rah-e-talab mein

aawara o gum-karda-e-manzil to nahin hum

kahte hain tamanna-e-shahadat ko wo sun kar

kyun qatl karen aap ko qatil to nahin hum

hain dil mein agar talib-e-didar tumhein kya

kuchh tum se kisi baat ke sail to nahin hum

wo puchhte hain mujh se ye mazmun to naya hai

teri hi tarah se kahin be-dil to nahin hum

hum jate hain ya hazrat-e-dil aap sidhaaren

jaenge ab us bazm mein shamil to nahin hum

in aankhon se hum ne bhi to dekha hai zamana

hum se na kaho ghair pe mail to nahin hum

marne ke liye waqt koi tak rahe hain

is kaam ko samjhe abhi mushkil to nahin hum

kahte hain tujhe dekh ke aata hai hamein rashk

baiThe hue dushman ke muqabil to nahin hum

har sans mein rahta hai teri yaad ka khaTka

'beKHud' hain to hon kaam se ghafil to nahin hum

(916) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Betab Rahen Hijr Mein Kuchh Dil To Nahin Hum In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Betab Rahen Hijr Mein Kuchh Dil To Nahin Hum is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Betab Rahen Hijr Mein Kuchh Dil To Nahin Hum for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Betab Rahen Hijr Mein Kuchh Dil To Nahin Hum in PDF.