Donon Hi Ki Jaanib Se Ho Gar Ahd-e-wafa Ho

donon hi ki jaanib se ho gar ahd-e-wafa ho

chahat ka maza jab hai ki tum bhi mujhe chaho

ye hum nahin kahte hain ki dushman ko na chaho

is chah ka anjam magar dekhiye kya ho

shamshir se baDh kar hain hasinon ki adaen

be-maut kiya qatl un achchhon ka bura ho

mashuq tarah-dar ho andaz ho achchha

dil aae na aise pe to phir dil ka bura ho

pura koi hota nazar aata nahin arman

un ko to ye zid hai ki hamara hi kaha ho

tum mujh ko pilate to ho mai sina pe chaDh kar

us waqt agar koi chala aae to kya ho

wada wo tumhaara hai ki lab tak nahin aata

matlab ye hamara hai ki baaton mein ada ho

KHanjar ki zarurat hai na shamshir ki hajat

tirchhi si nazar ho koi banki si ada ho

KHali to na jaen dam-e-ruKHsat mere nale

fitna koi uTThe jo qayamat na bapa ho

chori ki to kuchh baat nahin mujh ko bata do

mera dil-e-betab agar tum ne liya ho

un se dam-e-raftar ye kahti hai qayamat

fitne se na KHali koi naqsh-e-kaf-e-pa ho

bad-zan hain wo is tarah ki surma use samjhen

bimar ki aankhon mein agar nil Dhala ho

KHat khol ke paDhte hue Darta hun kisi ka

lipTi hui KHat mein na kahin meri qaza ho

marna hai usi ka jo tujhe dekh ke mar jae

jina hai usi ka jo mohabbat mein jiya ho

hai dil ki jagah sine mein kawish abhi baqi

paikan koi pahlu mein mere rah na gaya ho

mujh ko bhi kahin aur se aaya hai bulawa

achchha hai chalo aaj bhi wada na wafa ho

'beKHud' ka fasana to hai mashhur-e-zamana

ye zikr to shayad kabhi tum ne bhi suna ho

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Donon Hi Ki Jaanib Se Ho Gar Ahd-e-wafa Ho In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Donon Hi Ki Jaanib Se Ho Gar Ahd-e-wafa Ho is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Donon Hi Ki Jaanib Se Ho Gar Ahd-e-wafa Ho for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Donon Hi Ki Jaanib Se Ho Gar Ahd-e-wafa Ho in PDF.