Hazrat-e-dil Ye Ishq Hai Dard Se Kasmasae Kyun

hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun

maut abhi se aae kyun jaan abhi se jae kyun

ishq ka rutba hai baDa ishq KHuda se ja mila

aap ne kya samajh liya aap ye muskurae kyun

mera ghalat gila sahi zulm-o-jafa rawa sahi

naz-e-sitam baja sahi aankh koi churae kyun

tujh se ziyaada naznin is mein hazaron hain hasin

dil hai ye aaina nahin samne tere aae kyun

aashiq-e-na-murad ko is ki raza pe chhoD do

is ki agar KHushi na ho gham se najat pae kyun

hausla-e-sitam baDhe tegh-o-sinan ka dam baDhe

ek hi tir-e-naz mein kijiye hae hae kyun

'ghaalib'-e-KHush-bayan kahan 'beKHud'-e-KHasta-jaan kahan

taba ka imtihan kahan shad mujhe satae kyun

(1158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazrat-e-dil Ye Ishq Hai Dard Se Kasmasae Kyun In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Hazrat-e-dil Ye Ishq Hai Dard Se Kasmasae Kyun is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Hazrat-e-dil Ye Ishq Hai Dard Se Kasmasae Kyun for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Hazrat-e-dil Ye Ishq Hai Dard Se Kasmasae Kyun in PDF.