Kyun Kah Ke Dil Ka Haal Use Bad-guman Karun

kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun

ye raaz wo nahin hai jise main bayan karun

mujh ko ye zid ki wasl ka iqrar tum se lun

tum ko ye haT ki main na kabhi tujh se han karun

ye kah rahi hai mujh se kisi ki nigah-e-sharm

fursat agar haya se mile shoKHiyan karun

tu mujh ko aazma ke wafa-dariyon mein dekh

main bewafaiyon mein tera imtihan karun

ukta gaya hai shara ki pabandiyon se ji

dil chahta hai baiat-e-pir-e-mughan karun

'beKHud' rafiq hai na koi ham-tariq hai

dil par jo kuchh guzarti hai kis se bayan karun

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Kah Ke Dil Ka Haal Use Bad-guman Karun In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Kyun Kah Ke Dil Ka Haal Use Bad-guman Karun is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Kyun Kah Ke Dil Ka Haal Use Bad-guman Karun for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Kyun Kah Ke Dil Ka Haal Use Bad-guman Karun in PDF.