Fasad-e-duniya MiTa Chuke Hain Husul-e-hasti MiTa Chuke Hain

fasad-e-duniya miTa chuke hain husul-e-hasti miTa chuke hain

KHudai apne mein pa chuke hain mujhe gale ye laga chuke hain

nahin nazakat se hum mein taqat uThaen jo naz-e-hur-e-jannat

ki naz-e-shamshir-e-pur-nazakat hum apne sar par uTha chuke hain

najat ho ya saza ho meri mile jahannam ki paun jannat

hum ab to un ke qadam pe apna gunah-bhara sar jhuka chuke hain

nahin zaban mein hai itni taqat jo shukr laen baja hum un ka

ki dam-e-hasti se mujh ko apne ek hath mein wo chhuDa chuke hain

wajud se hum adam mein aa kar makin hue la-makan ke ja kar

hum apne ko un ki tegh kha kar miTa miTa kar bana chuke hain

yahi hain adna si ek ada se jinhon ne barham hai ki KHudai

yahi hain akasr qaza ke jin se farishte bhi zak uTha chuke hain

ye kah do bas maut se ho ruKHsat kyun nahaq aai hai us ki shamat

ki dar talak wo masih-KHaslat meri ayaadat ko aa chuke hain

jo baat mane to ain shafqat na mane to ain husn-e-KHubi

'rasa' bhala hum ko daKHl kya ab hum apni haalat suna chuke hain

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasad-e-duniya MiTa Chuke Hain Husul-e-hasti MiTa Chuke Hain In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. Fasad-e-duniya MiTa Chuke Hain Husul-e-hasti MiTa Chuke Hain is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem Fasad-e-duniya MiTa Chuke Hain Husul-e-hasti MiTa Chuke Hain for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download Fasad-e-duniya MiTa Chuke Hain Husul-e-hasti MiTa Chuke Hain in PDF.