Ghazab Hai Surma De Kar Aaj Wo Bahar Nikalte Hain

ghazab hai surma de kar aaj wo bahar nikalte hain

abhi se kuchh dil-e-muztar par apne tir chalte hain

zara dekho to ai ahl-e-suKHan zor-e-sanaat ko

nai bandish hai majnun nur ke sanche mein Dhalte hain

bura ho ishq ka ye haal hai ab teri furqat mein

ki chashm-e-KHun-chakan se laKHt-e-dil paiham nikalte hain

hila denge abhi ai sang-dil tere kaleje ko

hamari aah-e-atish-bar se patthar pighalte hain

tera ubhra hua sina jo hum ko yaad aata hai

to ai rashk-e-pari pahron kaf-e-afsos milte hain

kisi pahlu nahin chain aata hai ushshaq ko tere

taDapte hain fughan karte hain aur karwaT badalte hain

'rasa' hajat nahin kuchh raushni ki kunj-e-marqad mein

bajae-shama yan dagh-e-jigar har waqt jalte hain

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazab Hai Surma De Kar Aaj Wo Bahar Nikalte Hain In English By Famous Poet Bhartendu Harishchandra. Ghazab Hai Surma De Kar Aaj Wo Bahar Nikalte Hain is written by Bhartendu Harishchandra. Read famous Poem Ghazab Hai Surma De Kar Aaj Wo Bahar Nikalte Hain for youth and Student by Bhartendu Harishchandra. Free Download Ghazab Hai Surma De Kar Aaj Wo Bahar Nikalte Hain in PDF.