Jo Dil Mein Usko Basae Wo Aur Kuchh Na Kare

jo dil mein us ko basae wo aur kuchh na kare

wo rup hai ki use dekhiye to ji na kare

jo dard dil mein uThe aah khinchne se Dare

wo aaina hai ki mauj-e-hawa shikast kare

khilengi rah mein is raat barf ki kaliyan

gharon mein ghumte phirte hain baadalon ke pare

hawa udhar ki chali bhi to dard mar na gaya

yahi hua hai ki kuchh zaKHm ho chale hain mere

ye jangali ye kaTili ye bawari aanhken

ki jin se aankh milate hue hiran bhi Dare

KHamosh ho bhi to kaise wo bolta hua jism

jo honT honT se chupke to aankh baat kare

wafa bane na agar 'ashk' rah ka patthar

hazar jism bhare shahr mein bane sanwre

(1076) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Dil Mein Usko Basae Wo Aur Kuchh Na Kare In English By Famous Poet Bimal Krishn Ashk. Jo Dil Mein Usko Basae Wo Aur Kuchh Na Kare is written by Bimal Krishn Ashk. Read famous Poem Jo Dil Mein Usko Basae Wo Aur Kuchh Na Kare for youth and Student by Bimal Krishn Ashk. Free Download Jo Dil Mein Usko Basae Wo Aur Kuchh Na Kare in PDF.