Sab Umr To Jari Nahin Rahta Hai Safar Bhi

sab umr to jari nahin rahta hai safar bhi

aata hai kisi din to bashar lauT ke ghar bhi

manzil to baDi shai na mili rahguzar bhi

bandha tha baDe shauq se kya raKHt-e-safar bhi

andar se phahonde hue diwar bhi dar bhi

dekhe hain baDe logon ke hum ne baDe ghar bhi

har samt hai virani si virani ka aalam

ab ghar sa nazar aane laga hai mera ghar bhi

tanhai-pasand itna bhi mat ban ye samajh le

tanhai mein hai chain to tanhai mein Dar bhi

pagal hai pata puchh raha hai mere ghar ka

kya KHana-ba-doshon ka hua karta hai ghar bhi

(1064) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Umr To Jari Nahin Rahta Hai Safar Bhi In English By Famous Poet Bismil Aghai. Sab Umr To Jari Nahin Rahta Hai Safar Bhi is written by Bismil Aghai. Read famous Poem Sab Umr To Jari Nahin Rahta Hai Safar Bhi for youth and Student by Bismil Aghai. Free Download Sab Umr To Jari Nahin Rahta Hai Safar Bhi in PDF.