Kisi Tarah Bhi Kisi Se Na Dil Lagana Tha

kisi tarah bhi kisi se na dil lagana tha

KHayal-e-yar mein duniya ko bhul jaana tha

jo be-ruKHi thi yahi ruKH nahin chhupana tha

mere KHayal mein bhi aap ko na aana tha

isi sabab se wo parde mein chhup ke baiThe hain

ki parde parde mein kuchh un ko rang lana tha

azal se ruh jo phunki gai hai zarron mein

to ye samajh lo ki jalwa use dikhana tha

zamana khinch ke pahunchta hai apne markaz par

zarur daera-e-zindagi mein aana tha

(920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Tarah Bhi Kisi Se Na Dil Lagana Tha In English By Famous Poet Bismil Allahabadi. Kisi Tarah Bhi Kisi Se Na Dil Lagana Tha is written by Bismil Allahabadi. Read famous Poem Kisi Tarah Bhi Kisi Se Na Dil Lagana Tha for youth and Student by Bismil Allahabadi. Free Download Kisi Tarah Bhi Kisi Se Na Dil Lagana Tha in PDF.