Chaman Ko Lag Gai Kis Ki Nazar KHuda Jaane

chaman ko lag gai kis ki nazar KHuda jaane

chaman raha na rahe wo chaman ke afsane

suna nahin hamein ujDe chaman ke afsane

ye rang ho to sanak jaen kyun na diwane

chhalak rahe hain surahi ke sath paimane

bula raha hai haram, Tokte hain but-KHane

khisak bhi jaegi botal to pakDe jaenge rind

janab-e-shaiKH lage aap kyun qasam khane

KHizan mein ahl-e-nasheman ka haal to dekha

qafas nasib pe kya guzri hai KHuda jaane

hujum-e-hashr mein apne gunahgaron ko

tere siwa koi aisa nahin jo pahchane

naqab ruKH se na sarki thi kal talak jin ki

sabha mein aaj wo aae hain nachne-gane

kisi ki mast-KHirami se shaiKH nalan hain

qadam qadam pe bane ja rahe hain mai-KHane

ye inqalab nahin hai to aur kya 'bismil'

nazar badalne lage apne jaane-pahchane

(1959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaman Ko Lag Gai Kis Ki Nazar KHuda Jaane In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Chaman Ko Lag Gai Kis Ki Nazar KHuda Jaane is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Chaman Ko Lag Gai Kis Ki Nazar KHuda Jaane for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Chaman Ko Lag Gai Kis Ki Nazar KHuda Jaane in PDF.