Nigah-e-qahr Hogi Ya Mohabbat Ki Nazar Hogi

nigah-e-qahr hogi ya mohabbat ki nazar hogi

maza de jaegi dil se agar ai sim-bar hogi

tumhein jaldi hai kya jaana abhi to raat baqi hai

na ghabrao zara Thahro koi dam mein sahar hogi

abhi se sare aalam mein to ek andher barpa hai

na jaane kya ghazab Dhaegi jab ye ta-kamar hogi

na laegi to kya bechain bhi un ko na kar degi

hamari aah kya kam-baKHt itni be-asar hogi

hum us ko dekh lenge aur wo hum ko na dekhegi

nigah-e-yar kya mahfil mein itni be-KHabar hogi

chala jata to hun main bahrup ban kar un ki mahfil mein

kahunga kya rasai gar kahin munh dekh kar hogi

nigah-e-lutf se dekhega mujh ko ek jahan to kya

agar tum dekh loge meri qismat arsh par hogi

asiri mein bhi yaad-e-gul karegi is tarah bulbul

qafas ke dar pe sar hoga, su-e-gulshan nazar hogi

jo be-jurmi pe bhi 'bismil' ko tum ne kar diya bismil

bataoge bhala kya hashr mein pursish agar hogi

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-qahr Hogi Ya Mohabbat Ki Nazar Hogi In English By Famous Poet Bismil Azimabadi. Nigah-e-qahr Hogi Ya Mohabbat Ki Nazar Hogi is written by Bismil Azimabadi. Read famous Poem Nigah-e-qahr Hogi Ya Mohabbat Ki Nazar Hogi for youth and Student by Bismil Azimabadi. Free Download Nigah-e-qahr Hogi Ya Mohabbat Ki Nazar Hogi in PDF.