Sar Jis Pe Na Jhuk Jae Use Dar Nahin Kahte

sar jis pe na jhuk jae use dar nahin kahte

har dar pe jo jhuk jae use sar nahin kahte

kya ahl-e-jahan tujh ko sitamgar nahin kahte

kahte to hain lekin tere munh par nahin kahte

kabe mein musalman ko kah dete hain kafir

but-KHane mein kafir ko bhi kafir nahin kahte

rindon ko Dara sakte hain kya hazrat-e-waiz

jo kahte hain allah se Dar kar nahin kahte

har bar nae shauq se hai arz-e-tamanna

sau bar bhi hum kah ke mukarrar nahin kahte

mai-KHane ke andar bhi wo kahte nahin mai-KHwar

jo baat ki mai-KHane ke bahar nahin kahte

kahte hain mohabbat faqat us haal ko 'bismil'

jis haal ko hum un se bhi aksar nahin kahte

(4580) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Jis Pe Na Jhuk Jae Use Dar Nahin Kahte In English By Famous Poet Bismil Saeedi. Sar Jis Pe Na Jhuk Jae Use Dar Nahin Kahte is written by Bismil Saeedi. Read famous Poem Sar Jis Pe Na Jhuk Jae Use Dar Nahin Kahte for youth and Student by Bismil Saeedi. Free Download Sar Jis Pe Na Jhuk Jae Use Dar Nahin Kahte in PDF.