Jis Ne Jaana Jahan Tamasha Hai

jis ne jaana jahan tamasha hai

us ki Thokar mein ye zamana hai

be-gharaz haar-jit se jo ho

zindagi us ki fatehana hai

fikr jo KHud giraft mein rakkhe

us ka andaz shairana hai

garm rakhta hai jo KHudi apni

be-niyazi se wo shanasa hai

do hi pal ka hai khel sara 'saba'

baad mein KHak sab ko hona hai

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Ne Jaana Jahan Tamasha Hai In English By Famous Poet Bubbles Hora Saba. Jis Ne Jaana Jahan Tamasha Hai is written by Bubbles Hora Saba. Read famous Poem Jis Ne Jaana Jahan Tamasha Hai for youth and Student by Bubbles Hora Saba. Free Download Jis Ne Jaana Jahan Tamasha Hai in PDF.