KHud Ko Tamasha KHub Banata Raha Hun Main

KHud ko tamasha KHub banata raha hun main

qimat bhi sadgi ki chukata raha hun main

yun bhiD mein to luTna baDi aam baat hai

sahra mein KHud ko tanha luTata raha hun main

manzil ki justuju bhi ajab shai hai dosto

Thokar se zaKHam apne lagata raha hun main

kar ke kisi ko KHwar bahut hansta hai bashar

sah ke sitam bhi KHud ko hansata raha hun main

karta tha jab 'saba' ko zamana bhi na-murad

himmat se azm aur baDhata raha hun main

(932) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Ko Tamasha KHub Banata Raha Hun Main In English By Famous Poet Bubbles Hora Saba. KHud Ko Tamasha KHub Banata Raha Hun Main is written by Bubbles Hora Saba. Read famous Poem KHud Ko Tamasha KHub Banata Raha Hun Main for youth and Student by Bubbles Hora Saba. Free Download KHud Ko Tamasha KHub Banata Raha Hun Main in PDF.