Aankhon Ko Ab Nigah Ki Aadat Nahin Rahi

aankhon ko ab nigah ki aadat nahin rahi

ab kuchh bhi dekhne ki zarurat nahin rahi

sachchaiyon ki rah bahut ho gai kaThin

is raste pe chalne ki himmat nahin rahi

dushman ho dost ho koi apna ki ghair ho

hum ko to ab kisi ki bhi hajat nahin rahi

duniya aziz-tar rahi ek arsa-e-daraaz

lekin ab is ki bhi to mohabbat nahin rahi

arsa hua kisi ne pukara nahin mujhe

shayad kisi ko meri zarurat nahin rahi

kanTa sa ek dil mein khaTakta hai mustaqil

par dil ki baat kahne ki aadat nahin rahi

sarmaya-e-hayat hua chahta hai KHatm

jis par ghurur tha wahi daulat nahin rahi

'bushra' kabhi jo jao wahan arz-e-haal ko

kahna ki hum pe ab wo inayat nahin rahi

(2650) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ko Ab Nigah Ki Aadat Nahin Rahi In English By Famous Poet Bushra Hashmi. Aankhon Ko Ab Nigah Ki Aadat Nahin Rahi is written by Bushra Hashmi. Read famous Poem Aankhon Ko Ab Nigah Ki Aadat Nahin Rahi for youth and Student by Bushra Hashmi. Free Download Aankhon Ko Ab Nigah Ki Aadat Nahin Rahi in PDF.