Dil Kiye TasKHir BaKHsha Faiz-e-ruhani Mujhe

dil kiye tasKHir baKHsha faiz-e-ruhani mujhe

hubb-e-qaumi ho gaya naqsh-e-sulaimani mujhe

manzil-e-ibrat hai duniya ahl-e-duniya shad hain

aisi dil-jami se hoti hai pareshani mujhe

jaanchta hun wusat-e-dil hamla-e-gham ke liye

imtihan hai ranj-o-hirman ki farawani mujhe

haq-parasti ki jo main ne but-parasti chhoD kar

barhaman kahne lage ilhad ka bani mujhe

kulfat-e-duniya miTe bhi to saKHi ke faiz se

hath dhone ko mile bahta hua pani mujhe

KHud-parasti miT gai qadr-e-mohabbat baDh gai

matam-e-ahbab hai talim-e-ruhani mujhe

qaum ka gham mol le kar dil ka ye aalam hua

yaad bhi aati nahin apni pareshani mujhe

zarra zarra hai mere kashmir ka mehman-nawaz

rah mein patthar ke TukDon ne diya pani mujhe

lucknow mein phir hui aarasta bazm-e-suKHan

baad muddat phir hua zauq-e-ghazal-KHwani mujhe

(1404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Kiye TasKHir BaKHsha Faiz-e-ruhani Mujhe In English By Famous Poet Chakbast Brij Narayan. Dil Kiye TasKHir BaKHsha Faiz-e-ruhani Mujhe is written by Chakbast Brij Narayan. Read famous Poem Dil Kiye TasKHir BaKHsha Faiz-e-ruhani Mujhe for youth and Student by Chakbast Brij Narayan. Free Download Dil Kiye TasKHir BaKHsha Faiz-e-ruhani Mujhe in PDF.