Hum Sochte Hain Raat Mein Taron Ko Dekh Kar

hum sochte hain raat mein taron ko dekh kar

shamen zamin ki hain jo dagh aasman ke hain

jannat mein KHak baada-paraston ka dil lage

naqshe nazar mein sohbat pir-e-mughan ke hain

apna maqam shaKH-e-burida hai bagh mein

gul hain magar satae hue baghban ke hain

ek silsila hawas ka hai insan ki zindagi

is ek musht-e-KHak ko gham do-jahan ke hain

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Sochte Hain Raat Mein Taron Ko Dekh Kar In English By Famous Poet Chakbast Brij Narayan. Hum Sochte Hain Raat Mein Taron Ko Dekh Kar is written by Chakbast Brij Narayan. Read famous Poem Hum Sochte Hain Raat Mein Taron Ko Dekh Kar for youth and Student by Chakbast Brij Narayan. Free Download Hum Sochte Hain Raat Mein Taron Ko Dekh Kar in PDF.