Hamara Watan Dil Se Pyara Watan

ye hindostan hai hamara watan

mohabbat ki aankhon ka tara watan

hamara watan dil se pyara watan

wo is ke daraKHton ke tayyariyan

wo phal phul paude wo phul-wariyan

hamara watan dil se pyara watan

hawa mein daraKHton ka wo jhumna

wo patton ka phulon ka munh chumna

hamara watan dil se pyara watan

wo sawan mein kali ghaTa ki bahaar

wo barsat ki halki halki phuwar

hamara watan dil se pyara watan

wo baghon mein koyal wo jangal ke mor

wo ganga ki lahren wo jamuna ka zor

hamara watan dil se pyara watan

isi se hai is zindagi ki bahaar

watan ki mohabbat ho ya man ka pyar

hamara watan dil se pyara watan

(3368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamara Watan Dil Se Pyara Watan In English By Famous Poet Chakbast Brij Narayan. Hamara Watan Dil Se Pyara Watan is written by Chakbast Brij Narayan. Read famous Poem Hamara Watan Dil Se Pyara Watan for youth and Student by Chakbast Brij Narayan. Free Download Hamara Watan Dil Se Pyara Watan in PDF.