Umr Ke Lambe Safar Se Tajraba Aisa Mila

umr ke lambe safar se tajraba aisa mila

dhup jab bhi sar pe aai lapata saya mila

dekhna hai aks mujh ko apna pura hi magar

jab mila wo aaina mujh ko zara TuTa mila

hanste chehron ki kahani jaanti hun KHub main

jis ko bhi parkha wahi TuTa mila bikhra mila

jal rahe the panw ek muddat se rahat ke liye

jis taraf bhi main gai tapta hua sahra mila

raat din manga dua jis ham-safar ke waste

mere jite-ji wo mera marsiya paDhta mila

ye safar main ne akele hi kiya hai 'chandni'

ham-safar mujh ko kahan koi mere jaisa mila

(1024) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Umr Ke Lambe Safar Se Tajraba Aisa Mila In English By Famous Poet Chandni Pandey. Umr Ke Lambe Safar Se Tajraba Aisa Mila is written by Chandni Pandey. Read famous Poem Umr Ke Lambe Safar Se Tajraba Aisa Mila for youth and Student by Chandni Pandey. Free Download Umr Ke Lambe Safar Se Tajraba Aisa Mila in PDF.