Gum-shuda Aadmi Ka Intizar

lahu-nosh lamhon ke bedar sae

use gher lenge sinanen uThae

tamazat-zada shab zan-e-bakara si

simaT jaegi aur bhi apne tan mein

wo suraj ka sathi andheron ke ban mein

asasa liye fikr ka apne fan mein

shuaon ki suli pe zinda Tanga hai

na ab shahr mein koi itna hazin hai

ghazabnak tanhaiyon ko yaqin hai

ki us ke muqaddar mein wo KHud nahin hai

wo ek infiradi haqiqat ka hami

fasilon pe wahm-o-guman ki khaDa hai

shahr-zad shabnam se ye puchhta hai

ki suraj ke sine mein kya kya chhapa hai

magar sham ki surKH aankhon ne is par

hamesha sulagti hui rakh Dali

tah-e-atish-e-sruKH-ru wo sawali

ki jis ne hatheli pe sarson jama li

kisi dewta ki nigah-e-ghazab se

bana ajnabi apne aabaad ghar mein

kabhi is nagar mein kabhi us nagar mein

kabhi bas gaya sirf diwar-o-dar mein

wo ek shaKHs tanha ki jis ka abhi tak

safar hai musalsal na ghar mustaqil hai

faqat pas mein us ke masum dil hai

magar kis qadar muztarib muzmahil hai

jo shahr-e-ana mein khaDa sochta hai

kahan raat kaTe kahan din bitae

hatheli pe duniya ka naqsha banae

bhaTakta hai wo aaj bhi choT khae

are gum-shuda aadmi aa ke mil ja

are gum-shuda aadmi aa ke mil ja

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gum-shuda Aadmi Ka Intizar In English By Famous Poet Chandrabhan Khayal. Gum-shuda Aadmi Ka Intizar is written by Chandrabhan Khayal. Read famous Poem Gum-shuda Aadmi Ka Intizar for youth and Student by Chandrabhan Khayal. Free Download Gum-shuda Aadmi Ka Intizar in PDF.