Baat Kahne Ke Liye Baat Banai Na Gai

baat kahne ke liye baat banai na gai

hum se baraat farebon ki sajai na gai

aaj bhi dar ke taKHte se sada aati hai

haq ki aawaz sitamgar se dabai na gai

dost karte hain hasad is liye teri taswir

ma-siwa dil ke kahin aur sajai na gai

gham ki taswir banane ko main jab bhi baiTha

un ki muskan ubhar aai banai na gai

nai tahzib ke KHakon ko sanwara hum ne

hum se aKHlaq ki taswir banai na gai

jaane kya sujhi meri qabr par aa kar un se

gul chaDhae na gae shama jalai na gai

main to baat aai gai kar ke chala aaya tha

ho gai baat parai wo dabai na gai

us ne hangamon se bahlai hai apni duniya

waqt se amn ki shahnai bajai na gai

'charKH' dekhe jo jawani ke ubharte jalwe

zindagi apni gunahon se bachai na gai

(1241) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Kahne Ke Liye Baat Banai Na Gai In English By Famous Poet Charkh Chinioti. Baat Kahne Ke Liye Baat Banai Na Gai is written by Charkh Chinioti. Read famous Poem Baat Kahne Ke Liye Baat Banai Na Gai for youth and Student by Charkh Chinioti. Free Download Baat Kahne Ke Liye Baat Banai Na Gai in PDF.