Qarar Kho Ke Chale Be-qarar Ho Ke Chale

qarar kho ke chale be-qarar ho ke chale

ada ada pe teri hum nisar ho ke chale

rah-e-wafa mein raqabat ke moD bhi hain bahut

ye dil se kah do zara hoshiyar ho ke chale

kisi ke kahne pe tufan mein Dal di kashti

KHuda kare ki hawa sazgar ho ke chale

hamein to naz hai apne hasin gunahon par

wo log aur the jo sharmsar ho ke chale

tumhaari ambarin zulfon ko chhu ke aai hai

hawa ki mauj na kyun mushk-bar ho ke chale

wo jite-ji to na aae mizaj-pursi ko

janaza dekha to sath ashk-bar ho ke chale

nazar ne mil ke nazar se mila diya hum ko

ye rabt-e-bahami ab ustuwar ho ke chale

wo arz-e-wasl pe KHamosh ho ke baiTh gae

na aar ho ke chale wo na par ho ke chale

azal se 'charKH'-e-tabiat shagufta hai apni

jo milne aae wo bagh-o-bahaar ho ke chale

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarar Kho Ke Chale Be-qarar Ho Ke Chale In English By Famous Poet Charkh Chinioti. Qarar Kho Ke Chale Be-qarar Ho Ke Chale is written by Charkh Chinioti. Read famous Poem Qarar Kho Ke Chale Be-qarar Ho Ke Chale for youth and Student by Charkh Chinioti. Free Download Qarar Kho Ke Chale Be-qarar Ho Ke Chale in PDF.