Jo Meri Chhat Ka Rasta Chand Ne Dekha Nahin Hota

jo meri chhat ka rasta chand ne dekha nahin hota

to shayad chandni le kar yahan utra nahin hota

duaen do tumhein mashhur hum ne kar diya warna

nazar-andaz kar dete to ye jalwa nahin hota

abhi to aur bhi mausam paDe hai mere sae mein

main bargad ka shajar hun muddaton buDha nahin hota

hasinon se tamanna-e-wafa kam-zarf rakhte hain

ye aisa KHwab hai jo umr-bhar pura nahin hota

baDe ehsan hain mujh par teri masum yaadon ke

main tanha rasto mein bhi kabhi tanha nahin hota

main jab jab sher ki gahraiyon mein Dub jata hun

siwa tere mere dil mein koi chehra nahin hota

(1022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Meri Chhat Ka Rasta Chand Ne Dekha Nahin Hota In English By Famous Poet Chitransh Khare. Jo Meri Chhat Ka Rasta Chand Ne Dekha Nahin Hota is written by Chitransh Khare. Read famous Poem Jo Meri Chhat Ka Rasta Chand Ne Dekha Nahin Hota for youth and Student by Chitransh Khare. Free Download Jo Meri Chhat Ka Rasta Chand Ne Dekha Nahin Hota in PDF.