Bhala Ho Pir-e-mughan Ka Idhar Nigah Mile

bhala ho pir-e-mughan ka idhar nigah mile

faqir hain koi chullu KHuda ki rah mile

kahan the raat ko hum se zara nigah mile

talash mein ho ki jhuTa koi gawah mile

qarib-e-mai-kada mujh ko jo KHanqah mile

gale sawab ke kya kya mere gunah mile

wo roz-e-hashr hai duniya nahin ki rah mile

kahan chhupoge jo do chaar dad-KHwah mile

meri KHarabi mein aa kar wo chaukDi bhule

ki phir na KHana-KHarabi ko ghar ki rah mile

tera dil aae kisi par to arsh hil jae

asar talash mein hai is tarah ki aah mile

tumhaare kuche mein har roz wo qayamat hai

ki saya DhunD raha hai kahin panah mile

tera ghurur samaya hai is qadar dil mein

nigah bhi na milaun jo baadshah mile

sar-barahna majnun pe aashiyan hai taj

na rakkhe sar pe jo faghfur ki kulah mile

falak ki tarah jafaen na kijiye har roz

isi qadar hai ye neamat jo gah gah mile

tumhaare husn se kya rutba mah-e-kanan ko

wahi to chand jise Dubne ko chah mile

sab ahl-e-hashr jab apne kiye ko paenge

baDa maza ho jo mujh ko mera gunah mile

karun main arz agar jaan ki aman paun

kahun pate ki agar qahr se panah mile

ye hai maze ki laDai ye hai maze ka milap

ki tujh se aankh laDi aur phir nigah mile

hua hai dard-e-jigar se ye ghar mera tarik

ki maut DhunDti phirti hai koi rah mile

na us ko sabr na tasir ka pata ya rab

jala diya hai mujhe KHak mein ye aah mile

bala se dawa-e-ulfat na pesh karte hum

mile hue hain jo dushman se wo gawah mile

Thahar na aah meri jaan le ke chalte ho

safar kare jo musafir ko zad-e-rah mile

masal suni hai ki milne se koi milta hai

milo to aankh mile dil mile nigah mile

qamar ko jama-e-shab to basar ko parda-e-chashm

kai libas tere nur ko siyah mile

asar kahan se mile jab ye phuT ho baham

alag alag rahe donon na harf-e-ah mile

laga ke panw mein us ke uDaun qasid ko

agar mujhe tere tausan ki gard-e-rah mile

is inqalab mein DhunDo jo mushk aur kafur

to ye safed mile aur wo siyah mile

nawed-e-baKHshish-e-isyan use suna dena

jo sharmsar kahin 'dagh'-e-ru-siyah mile

(952) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhala Ho Pir-e-mughan Ka Idhar Nigah Mile In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Bhala Ho Pir-e-mughan Ka Idhar Nigah Mile is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Bhala Ho Pir-e-mughan Ka Idhar Nigah Mile for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Bhala Ho Pir-e-mughan Ka Idhar Nigah Mile in PDF.