Butan-e-mah-wash UjDi Hui Manzil Mein Rahte Hain

butan-e-mah-wash ujDi hui manzil mein rahte hain

ki jis ki jaan jati hai usi ke dil mein rahte hain

hazaron dagh pinhan aashiqon ke dil mein rahte hain

sharar patthar ki surat un ki aab-o-gil mein rahte hain

zamin par panw nafrat se nahin rakhte pari-paikar

ye goya is makan ki dusri manzil mein rahte hain

mohabbat mein maza hai chheD ka lekin maze ki ho

hazaron lutf har ek shikwa-e-baatil mein rahte hain

KHuda rakkhe salamat jin ko un ko maut kab aae

taDapte loTte hum kucha-e-qatil mein rahte hain

hazaron hasraten wo hain ki roke se nahin ruktin

bahut arman aise hain ki dil ke dil mein rahte hain

yahan tak thak gae hain chalte chalte tere hathon se

ki ab chhup chhup ke nawak sina-e-bismil mein rahte hain

na dekhe honge rindon se bhi tu ne pak ai zahid

ki ye be-dagh mai-KHane ki aab-o-gil mein rahte hain

muhit-e-ishq ki har mauj tufan-KHez aisi hai

wo hain girdab mein jo daman-e-sahil mein rahte hain

KHuda rakkhe mohabbat ne kiye aabaad donon ghar

main un ke dil mein rahta hun wo mere dil mein rahte hain

jo hoti KHub-surat to na chhupti qais se laila

magar aise hi waise parda-e-mahmil mein rahte hain

hamare sae se bachta hai har ek bazm mein us ki

hamein dekho ki hum tanha bhari mahfil mein rahte hain

suragh-e-mehr-o-ulfat ghair ke dil mein na paenge

abas wo raat din is sai-e-be-hasil mein rahte hain

buton ko mahram-e-asrar tu ne kyun kiya ya rab

ki ye kafir har ek KHalwat-sara-e-dil mein rahte hain

falak dushman hua gardish-zadon ko jab mili rahat

ziyaada rah se khaTke mujhe manzil mein rahte hain

tan-asani kahan taqdir mein hum dil-girafton ki

KHuda par KHub raushan hai ki jis mushkil mein rahte hain

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Butan-e-mah-wash UjDi Hui Manzil Mein Rahte Hain In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Butan-e-mah-wash UjDi Hui Manzil Mein Rahte Hain is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Butan-e-mah-wash UjDi Hui Manzil Mein Rahte Hain for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Butan-e-mah-wash UjDi Hui Manzil Mein Rahte Hain in PDF.