Ghazab Kiya Tere Wade Pe Etibar Kiya

ghazab kiya tere wade pe e'tibar kiya

tamam raat qayamat ka intizar kiya

kisi tarah jo na us but ne e'tibar kiya

meri wafa ne mujhe KHub sharmsar kiya

hansa hansa ke shab-e-wasl ashk-bar kiya

tasalliyan mujhe de de ke be-qarar kiya

ye kis ne jalwa hamare sar-e-mazar kiya

ki dil se shor uTha hae be-qarar kiya

suna hai tegh ko qatil ne aab-dar kiya

agar ye sach hai to be-shubah hum pe war kiya

na aae rah pe wo ijz be-shumar kiya

shab-e-visal bhi main ne to intizar kiya

tujhe to wada-e-didar hum se karna tha

ye kya kiya ki jahan ko umid-war kiya

ye dil ko tab kahan hai ki ho maal-andesh

unhon ne wada kiya is ne e'tibar kiya

kahan ka sabr ki dam par hai ban gai zalim

ba tang aae to haal-e-dil aashkar kiya

taDap phir ai dil-e-nadan ki ghair kahte hain

aKHir kuchh na bani sabr iKHtiyar kiya

mile jo yar ki shoKHi se us ki bechaini

tamam raat dil-e-muztarib ko pyar kiya

bhula bhula ke jataya hai un ko raaz-e-nihan

chhupa chhupa ke mohabbat ko aashkar kiya

na us ke dil se miTaya ki saf ho jata

saba ne KHak pareshan mera ghubar kiya

hum aise mahw-e-nazara na the jo hosh aata

magar tumhaare taghaful ne hoshyar kiya

hamare sine mein jo rah gai thi aatish-e-hijr

shab-e-visal bhi us ko na ham-kanar kiya

raqib o shewa-e-ulfat KHuda ki qudrat hai

wo aur ishq bhala tum ne e'tibar kiya

zaban-e-KHar se nikli sada-e-bismillah

junun ko jab sar-e-shorida par sawar kiya

teri nigah ke tasawwur mein hum ne ai qatil

laga laga ke gale se chhuri ko pyar kiya

ghazab thi kasrat-e-mahfil ki main ne dhoke mein

hazar bar raqibon ko ham-kanar kiya

hua hai koi magar us ka chahne wala

ki aasman ne tera shewa iKHtiyar kiya

na puchh dil ki haqiqat magar ye kahte hain

wo be-qarar rahe jis ne be-qarar kiya

jab un ko tarz-e-sitam aa gae to hosh aaya

bura ho dil ka bure waqt hoshyar kiya

fasana-e-shab-e-gham un ko ek kahani thi

kuchh e'tibar kiya kuchh na e'tibar kiya

asiri dil-e-ashufta rang la ke rahi

tamam turra-e-tarrar tar tar kiya

kuchh aa gai dawar-e-mahshar se hai ummid mujhe

kuchh aap ne mere kahne ka e'tibar kiya

kisi ke ishq-e-nihan mein ye bad-gumani thi

ki Darte Darte KHuda par bhi aashkar kiya

falak se taur qayamat ke ban na paDte the

aKHir ab tujhe aashob-e-rozgar kiya

wo baat kar jo kabhi aasman se ho na sake

sitam kiya to baDa tu ne iftiKHar kiya

banega mehr-e-qayamat bhi ek KHal-e-siyah

jo chehra 'dagh'-e-siyah-ru ne aashkar kiya

(1389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazab Kiya Tere Wade Pe Etibar Kiya In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Ghazab Kiya Tere Wade Pe Etibar Kiya is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Ghazab Kiya Tere Wade Pe Etibar Kiya for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Ghazab Kiya Tere Wade Pe Etibar Kiya in PDF.