Hosh Aate Hi Hasinon Ko Qayamat Aai

hosh aate hi hasinon ko qayamat aai

aankh mein fitnagari dil mein shararat aai

kya tasawwur hai nihayat mujhe hairat aai

aaine mein bhi nazar teri hi surat aai

is ada se dam-e-raftar qayamat aai

aise hum kyun na hue un ko ye hasrat aai

roz-e-mahshar jo meri dad ki naubat aai

ye gai wo gai kab hath qayamat aai

ab isi par to hai takid wafadari ki

jab gaya jaan se main ghair ki shamat aai

kah gae tan se wo aa ke mere marqad par

sone wale tujhe kis tarah se rahat aai

ban sanwar kar jo wo aae to ye main jaan gaya

ab gai jaan gai aai tabiat aai

rakh diya munh pe mere hath shab-e-wasl us ne

be-hijabi ke liye kaam shikayat aai

jab ye khata hai mera KHun-e-jigar khata hai

dil-e-bimar ko kis chiz pe raghbat aai

garche az-had hun gunahgar musalman to hun

pichhe pichhe mere dozaKH mein bhi jannat aai

main hua shefta un par wo adu par shaida

sath ke sath hi donon ki tabiat aai

umr bhar us ko kaleje se lagae rakha

tere bimar ko jis dard mein lazzat aai

hijr mein jaan nikalti nahin kya aafat hai

mar kar aaj ajal ko shab-e-furqat aai

apne diwanon ko dekha to kaha ghabra kar

ye nai waza ki kis mulk se KHilqat aai

jazb-e-dil khinch hi laya unhen mere dar tak

panw paDti hui har-chand nazakat aai

yun to pamal hue saikDon miTne wale

pahle ginti mein jo aai meri turbat aai

hashr ka wada bhi karte nahin wo kahte hain

farz kar lo jo kai bar qayamat aai

'dagh' ghabrao nahin ab koi dam ke dam mein

lo mubarak ho taraqqi ki bhi saat aai

(1360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hosh Aate Hi Hasinon Ko Qayamat Aai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Hosh Aate Hi Hasinon Ko Qayamat Aai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Hosh Aate Hi Hasinon Ko Qayamat Aai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Hosh Aate Hi Hasinon Ko Qayamat Aai in PDF.