Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-makan Ke Hain

jalwe meri nigah mein kaun-o-makan ke hain

mujh se kahan chhupenge wo aise kahan ke hain

khulte nahin hain raaz jo soz-e-nihan ke hain

kya phuTne ke waste chhaale zaban ke hain

karte hain qatl wo talab-e-maghfirat ke baad

jo the dua ke hath wahi imtihan ke hain

jis roz kuchh sharik hui meri musht-e-KHak

us roz se zamin pe sitam aasman ke hain

bazu dikhae tum ne laga kar hazar hath

pure paDe to wo bhi bahut imtihan ke hain

naseh ke samne kabhi sach bolta nahin

meri zaban mein rang tumhaari zaban ke hain

kaisa jawab hazrat-e-dil dekhiye zara

paigham-bar ke hath mein TukDe zaban ke hain

kya iztirab-e-shauq ne mujh ko KHajil kiya

wo puchhte hain kahiye irade kahan ke hain

aashiq tere adam ko gae kis qadar tabah

puchha har ek ne ye musafir kahan ke hain

har-chand 'dagh' ek hi ayyar hai magar

dushman bhi to chhaTe hue sare jahan ke hain

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-makan Ke Hain In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-makan Ke Hain is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-makan Ke Hain for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-o-makan Ke Hain in PDF.