Pukarti Hai KHamoshi Meri Fughan Ki Tarah

pukarti hai KHamoshi meri fughan ki tarah

nigahen kahti hain sab raaz-e-dil zaban ki tarah

bigaD gai hai yahan be-tarah jahan ki tarah

kahan ki waza kahan ki ada kahan ki tarah

chhuDa de qaid se ai barq hum asiron ko

laga de aag qafas ko bhi aashiyan ki tarah

kabhi to sulh bhi ho jae zohd o masti mein

ilahi shaiKH bhi mai-KHwar ho mughan ki tarah

jala ke dagh-e-mohabbat ne dil ko KHak kiya

bahaar aai mere bagh mein KHizan ki tarah

haya ne rok liya jazb-e-dil ne khinch liya

chale wo tir ki surat khinchi kaman ki tarah

talash-e-yar mein chhoDi na sarzamin koi

hamare panw mein chakkar hai aasman ki tarah

jo samjhe KHizr to qaul-e-shahid-e-ulfat ko

girah mein bandh rakkhe umr-e-jawedan ki tarah

sune jo hazrat-e-zahid se wasf jannat ke

to saf phir gai aankhon mein us makan ki tarah

jhuki hi jati hai kuchh KHud-ba-KHud haya se wo aankh

giri hi paDti hai bimar-e-na-tawan ki tarah

ye sadd-e-rah hua kis ka pas-e-ruswai

ruke hue hain mere ashk karwan ki tarah

ada-e-matlab-e-dil hum se sikh jae koi

unhen suna hi diya haal dastan ki tarah

maze hain us dahan-e-zaKHm ke liye kya kya

jo chuse tir ke paikan ko zaban ki tarah

samajh ke kijiye barbaad mera musht-e-ghubar

ye le na aae koi chakkar aasman ki tarah

ye dil hai aap ka ghar rahiye shauq se lekin

shakeb-o-rahat-o-sabr-o-qarar-e-jaan ki tarah

qayamat aai shab-e-wasl mere ghar ke pas

raqib ne use aawaz di azan ki tarah

shab us ki bazm mein tha shama par bhi rashk hamein

ki munh mein shole ko gul-gir le zaban ki tarah

mujhe ye hukm hai zinhaar tum na karna ishq

nasihaten bhi wo karte hain imtihan ki tarah

hum apne zoaf ke sadqe biTha diya aisa

hile na dar se tere sang-e-astan ki tarah

kuchh un se kahne ko baiThe the hum ki KHalwat mein

raqib aa hi gaya marg-e-na-gahan ki tarah

shikasta baal hun wo murgh-e-natawan-o-zaif

ki main to main na uDe mere aashiyan ki tarah

na honge soz-e-mohabbat ke dil-jale ThanDe

bhari hai aatish-e-gham maghz-e-ustuKHwan ki tarah

na chhoD said-e-mohabbat ko KHak par sayyaad

use bhi Dal le tu dosh par kaman ki tarah

zaban-e-KHar hui tar hamari wahshat se

ki chhaale phuTe bhi chashm-e-KHun-fishan ki tarah

KHuda qubul kare 'dagh' tum jo su-e-adam

chale ho ishq-e-butan le ke armughan ki tarah

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pukarti Hai KHamoshi Meri Fughan Ki Tarah In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Pukarti Hai KHamoshi Meri Fughan Ki Tarah is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Pukarti Hai KHamoshi Meri Fughan Ki Tarah for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Pukarti Hai KHamoshi Meri Fughan Ki Tarah in PDF.