Tamasha-e-dair-o-haram Dekhte Hain

tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain

tujhe har bahane se hum dekhte hain

hamari taraf ab wo kam dekhte hain

wo nazren nahin jin ko hum dekhte hain

zamane ke kya kya sitam dekhte hain

hamin jaante hain jo hum dekhte hain

phire but-kade se to ai ahl-e-kaba

phir aa kar tumhaare qadam dekhte hain

hamein chashm-e-bina dikhati hai sab kuchh

wo andhe hain jo jam-e-jam dekhte hain

na ima-e-KHwahish na izhaar-e-matlab

mere munh ko ahl-e-karam dekhte hain

kabhi toDte hain wo KHanjar ko apne

kabhi nabz-e-bismil mein dam dekhte hain

ghanimat hai chashm-e-taghaful bhi un ki

bahut dekhte hain jo kam dekhte hain

gharaz kya ki samjhen mere KHat ka mazmun

wo unwan o tarz-e-raqam dekhte hain

salamat rahe dil bura hai ki achchha

hazaron mein ye ek dam dekhte hain

raha kaun mahfil mein ab aane wala

wo chaaron taraf dam-ba-dam dekhte hain

udhar sharm hail idhar KHauf mane

na wo dekhte hain na hum dekhte hain

unhen kyun na ho dilrubai se nafrat

ki har dil mein wo gham alam dekhte hain

nigahban se bhi kya hui bad-gumani

ab us ko tere sath kam dekhte hain

hamein 'dagh' kya kam hai ye sarfaraazi

ki shah-e-dakan ke qadam dekhte hain

(4374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamasha-e-dair-o-haram Dekhte Hain In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Tamasha-e-dair-o-haram Dekhte Hain is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Tamasha-e-dair-o-haram Dekhte Hain for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Tamasha-e-dair-o-haram Dekhte Hain in PDF.