Tum Aaina Hi Na Har Bar Dekhte Jao

tum aaina hi na har bar dekhte jao

meri taraf bhi to sarkar dekhte jao

na jao haal-e-dil-e-zar dekhte jao

ki ji na chahe to na-chaar dekhte jao

bahaar-e-umr mein bagh-e-jahan ki sair karo

khila hua hai ye gulzar dekhte jao

yahi to chashm-e-haqiqat nigar ka surma hai

niza-e-kafir-o-din-dar dekhte jao

uThao aankh na sharmao ye to mahfil hai

ghazab se jaanib-e-aghyar dekhte jao

nahin hai jins-e-wafa ki tumhein jo qadr na ho

banenge kitne KHaridar dekhte jao

tumhein gharaz jo karo rahm paemalon par

tum apni shoKHi-e-raftar dekhte jao

qasam bhi khai thi quran bhi uThaya tha

phir aaj hai wahi inkar dekhte jao

ye shamat aai ki us ki gali mein dil ne kaha

khula hai rauzan-e-diwar dekhte jao

hua hai kya abhi hangama aur kuchh hoga

fughan mein hashr ke aasar dekhte jao

shab-e-visal adu ki yahi nishani hai

nishan-e-bosa-e-ruKHsar dekhte jao

tumhaari aankh mere dil se le sabab be-wajh

hui hai laDne ko tayyar dekhte jao

idhar ko aa hi gae ab to hazrat-e-zahid

yahin hai KHana-e-KHummar dekhte jao

raqib barsar-e-parKHash hum se hota hai

baDhegi muft mein takrar dekhte jao

nahin hain jurm-e-mohabbat mein sab ke sab mulzim

KHata muaf KHata-war dekhte jao

dikha rahi hai tamasha falak ki nairangi

naya hai shoabada har bar dekhte jao

bana diya meri chahat ne ghairat-e-yusuf

tum apni garmi-e-bazar dekhte jao

na jao band kiye aankh rah-rawan-e-adam

idhar udhar bhi KHabar-dar dekhte jao

suni-sunai pe hargiz kabhi amal na karo

hamare haal ke aKHbar dekhte jao

koi na koi har ek sher mein hai baat zarur

janab-e-'dagh' ke ashaar dekhte jao

(1599) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Aaina Hi Na Har Bar Dekhte Jao In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Tum Aaina Hi Na Har Bar Dekhte Jao is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Tum Aaina Hi Na Har Bar Dekhte Jao for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Tum Aaina Hi Na Har Bar Dekhte Jao in PDF.