Uzr Unki Zaban Se Nikla

uzr un ki zaban se nikla

tir goya kaman se nikla

wo chhalawa is aan se nikla

al-aman har zaban se nikla

KHar-e-hasrat bayan se nikla

dil ka kanTa zaban se nikla

fitnagar kya makan se nikla

aasman aasman se nikla

aa gaya ghash nigah dekhte hi

muddaa kab zaban se nikla

kha gae the wafa ka dhoka hum

jhuT sach imtihan se nikla

dil mein rahne na dun tera shikwa

dil mein aaya zaban se nikla

wahm aate hain dekhiye kya ho

wo akela makan se nikla

tum baraste rahe sar-e-mahfil

kuchh bhi meri zaban se nikla

sach to ye hai moamla dil ka

bahar apne guman se nikla

us ko aayat hadis kya samjhen

jo tumhaari zaban se nikla

paD gaya jo zaban se teri harf

phir na apne makan se nikla

dekh kar ru-e-yar salle-ala

be-tahasha zaban se nikla

lo qayamat ab aai wo kafir

ban-bana kar makan se nikla

mar gae hum magar tera arman

dil se nikla na jaan se nikla

rah-raw-e-rah-e-ishq the lakhon

aage main karwan se nikla

samjho patthar ki tum lakir use

jo hamari zaban se nikla

bazm se tum ko le ke jaenge

kaam kab phul-pan se nikla

kya murawwat hai nawak-e-dil-doz

pahle hargiz na jaan se nikla

tere diwanon ka bhi lashkar aaj

kis tajammul se shan se nikla

muD ke dekha to main ne kab dekha

dur jab pasban se nikla

wo hile lab tumhaare wade par

wo tumhaari zaban se nikla

us ki banki ada ne jab mara

dam mera aan tan se nikla

mere aansu ki us ne ki tarif

KHub moti ye kan se nikla

hum khaDe tum se baaten karte the

ghair kyun darmiyan se nikla

zikr ahl-e-wafa ka jab aaya

'dagh' un ki zaban se nikla

(1335) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uzr Unki Zaban Se Nikla In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Uzr Unki Zaban Se Nikla is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Uzr Unki Zaban Se Nikla for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Uzr Unki Zaban Se Nikla in PDF.