KhanDar Ye Phir Basane Ka Irada Hi Nahin Tha

khanDar ye phir basane ka irada hi nahin tha

badan mein lauT aane ka irada hi nahin tha

shikam ki aag ne bailon ko hankna sikhaya

wagarna hal chalane ka irada hi nahin tha

wo apne bheDiyon ko sair par laya tha ban mein

ghazalon ko Darane ka irada hi nahin tha

kaha tha taeron se peD ko dimak lagi hai

kisi ko aazmane ka irada hi nahin tha

KHabar kab thi ki aankhen os barsane lagengi

tujhe warna jagane ka irada hi nahin tha

main tere sath uDta phir raha tha aasman mein

KHuda ko bhul jaane ka irada hi nahin tha

sadi main ne tamannaon ko baal-o-par diye the

magar un ko uDane ka irada hi nahin tha

(975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KhanDar Ye Phir Basane Ka Irada Hi Nahin Tha In English By Famous Poet Daniyal Tareer. KhanDar Ye Phir Basane Ka Irada Hi Nahin Tha is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem KhanDar Ye Phir Basane Ka Irada Hi Nahin Tha for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download KhanDar Ye Phir Basane Ka Irada Hi Nahin Tha in PDF.