Koi Siwa-e-badan Hai Na Hai Wara-e-badan

koi siwa-e-badan hai na hai wara-e-badan

badan mein gunj rahi hai abhi sada-e-badan

ajab hai shahr magar shahr se bhi log ajab

udhaar mang rahe hain badan bara-e-badan

jahan ThiThurti tamanna ko aag tak na mile

wahan pe kaun Thaharta hai ai sara-e-badan

kahin chamakti hui ret bhi dikhai na di

kahan gaya wo samundar sarab khae badan

charagh ban ke chamakte hain rose sham Dhale

hamare pahlu mein soe hue parae badan

har ek rah mein bikhre paDe hain barg-e-nafas

yahan chali hai bahut din talak hawa-e-badan

wo apni qaus-e-quzah le gaya to kya hoga

'tarir' ghaur-talab hai teri faza-e-badan

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Siwa-e-badan Hai Na Hai Wara-e-badan In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Koi Siwa-e-badan Hai Na Hai Wara-e-badan is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Koi Siwa-e-badan Hai Na Hai Wara-e-badan for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Koi Siwa-e-badan Hai Na Hai Wara-e-badan in PDF.