Ye Moajiza Bhi Dikhati Hai Sabz Aag Mujhe

ye moajiza bhi dikhati hai sabz aag mujhe

paron baghair uDati hai sabz aag mujhe

main aayaton ki tilawat mein mahw rahta hun

har ek bala se bachati hai sabz aag mujhe

har ek shaKH pe rakhti hai zard qindilen

phir us ke baad jalati hai sabz aag mujhe

mein aab-e-surKH mein jab KHwab tak pahunchta hun

to mere samne lati hai sabz aag mujhe

hinai panw ragaDte hue na ghas pe chal

tujhe KHabar hai ki bhati hai sabz aag mujhe

main jab bhi jalte hue koelon pe sota hun

to aasman se bulati hai sabz aag mujhe

zamin pe nag hain aur un ke munh mein KHwab ki lau

kahaniyon se Daraati hai sabz aag mujhe

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Moajiza Bhi Dikhati Hai Sabz Aag Mujhe In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Ye Moajiza Bhi Dikhati Hai Sabz Aag Mujhe is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Ye Moajiza Bhi Dikhati Hai Sabz Aag Mujhe for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Ye Moajiza Bhi Dikhati Hai Sabz Aag Mujhe in PDF.