Tamanna Ka Dusra Qadam

waqt aur na-waqt ke ma-bain

kitna fasla

kitna KHala

kitni ghaneri KHamushi hai

jaanne ki koshishon mein

aankh ki aur dil ki ujli aankh ki

binaiyan kam paD gai hain

sochta hun

soch ka koi parinda bhej kar

is hadd-e-la-had ka

koi andaza kar lun

KHud se kahta hun

tujhe malum hai

ye kaam sochon ke parindon ka nahin

taKHil ka hai

jo parinda ghaib ki is jhil ka hai

jis mein sab na-didgan ke

aks bante raqs karte hain

inhi na-didgan mein

waqt aur na-waqt ke ma-bain ka

wo fasla aur wo KHala aur wo ghaneri KHamushi

bhi ho to kya malum

bahte aks un ke tair-e-taKHil ke shahpar se lipTe sath aa jaen

ye gahre bhed mere hath aa jaen

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamanna Ka Dusra Qadam In English By Famous Poet Daniyal Tareer. Tamanna Ka Dusra Qadam is written by Daniyal Tareer. Read famous Poem Tamanna Ka Dusra Qadam for youth and Student by Daniyal Tareer. Free Download Tamanna Ka Dusra Qadam in PDF.