Bahut Mushkil Hai Tark-e-arzu Rabt-ashna Ho Kar

bahut mushkil hai tark-e-arzu rabt-ashna ho kar

guzar ja wadi-e-pur-KHar se baad-e-saba ho kar

laga doge tamanna ke safine ko kinare se

maaz-allah dawa-e-KHudai na-KHuda ho kar

har ek ho silsila rangin gunahon ke salasil ka

nahin aasan duniya se guzarna parsa ho kar

meri pinhai-e-ilm-o-KHabar ki intiha ye hai

ki ek qatre se na-waqif hun dariya-ashna ho kar

kahan tab-e-judai ab to ye mahsus hota hai

ki main KHud se juda ho jaunga tum se juda ho kar

tera dar chhoD dun lekin tere dar ke siwa saqi

kahan jaun kidhar jaun zamane se KHafa ho kar

jo shikwa un se karna tha wo un ke ru-ba-ru 'darshan'

zaban tak aate aate rah gaya harf-e-dua ho kar

(1135) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Mushkil Hai Tark-e-arzu Rabt-ashna Ho Kar In English By Famous Poet Darshan Singh. Bahut Mushkil Hai Tark-e-arzu Rabt-ashna Ho Kar is written by Darshan Singh. Read famous Poem Bahut Mushkil Hai Tark-e-arzu Rabt-ashna Ho Kar for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Bahut Mushkil Hai Tark-e-arzu Rabt-ashna Ho Kar in PDF.