Kahin Jamal-e-azal Hum Ko Runuma Na Mila

kahin jamal-e-azal hum ko runuma na mila

mile to husn magar husn aap sa na mila

rahi talash magar dard aashna na mila

hamare baad unhen hum sa ba-wafa na mila

gae hain dair-o-haram mein bhi barha lekin

wo aasra jo diya tu ne saqiya na mila

jo dur the to bahut parsa the ye zahid

jo pas aae to koi bhi parsa na mila

muqable ki jo taqat thi wo ubhar to saki

KHuda ka shukr hai kashti ko naKHuda na mila

jawab-e-jannat-e-rangin sahi teri duniya

magar hamein to yahan lutf ai KHuda na mila

hawa-o-hirs ke lakhon shikar pae magar

koi bhi dard mohabbat mein mubtala na mila

jo chashm-e-mast se chhalka ke de alast ki mai

tere siwa koi duniya mein saqiya na mila

mujhi ko baKHsh diye kul jahan ke aalam

gham-e-jahan ke liye koi dusra na mila

kahun to kis se kahun dil ki baat ai 'darshan'

sune jo dard-e-bashar aisa ham-nawa na mila

(1150) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Jamal-e-azal Hum Ko Runuma Na Mila In English By Famous Poet Darshan Singh. Kahin Jamal-e-azal Hum Ko Runuma Na Mila is written by Darshan Singh. Read famous Poem Kahin Jamal-e-azal Hum Ko Runuma Na Mila for youth and Student by Darshan Singh. Free Download Kahin Jamal-e-azal Hum Ko Runuma Na Mila in PDF.